juun zarra nahin ek jagah khak-nashin ham
ai mahr-e-jahan-tab jahan tu hai vahin ham
shab halqa-e-rindan men ajab sair thi saaqi
saghar ko samajhte the mah-e-hala-nashin ham
sete hain sada rashk-e-atu-e-qalami dekh
har tar-e-sarishk apne se daman-e-zamin ham
ai rashk-e-nasim-e-sahari kyuun hai mukaddar
gulshan men tujhe dekhte hain chin-ba-jabin ham
barpa na kahin kiije ab shor-e-qayamat
vahshat-zada ai khana-e-zanjir nahin ham
sar-rishta rah-e-ishq ka ab haath laga hai
juun dana-e-tasbih na thahrenge kahin ham
le kar mah-o-khurshid ki phir tegh-o-sipar ko
ai charkh tujhe jante hain bar-sar-e-kin ham
yak dast utha levenge is safha-e-dil par
naqsh-e-qadam-e-yar ko juun naqsh o nagin ham
isa-nafas ab jald pahunch tu ki hain tujh bin
mehman koi dam ke dam-e-baz-pasin ham
kho baithe hain us ishq ke hathon se ‘nasir’ ab
hosh-o-khirad o sabr-o-qarar o dil-o-din ham
Leave a Reply