• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jun Nikhat-E-Gul Jumbish Hai Ji Ka Nikal Jaana

Jun Nikhat-E-Gul Jumbish Hai Ji Ka Nikal Jaana

momin-khan-momin

juun nikhat-e-gul jumbish hai ji ka nikal jaana

ai bad-e-saba meri karvat to badal jaana

pa-laghz-e-mohabbat se mushkil hai sambhal jaana

us rukh ki safai par is dil ka bahal jaana

siine men jo dil tadpa dhar hi to diya dekha

phir bhuul gaya kaisa main haath ka phal jaana

itna to na ghabrao rahat yahin farmao

ghar men mire rah jaao aaj aur bhi kal jaana

ai dil vo jo yaan aaya kya kya hamen tarsaya

tu ne kahin sikhlaya qaabu se nikal jaana

kya aise se daava ho mahshar men ki main ne to

nazzara-e-qatil ko ehsan-e-ajal jaana

hai zulm karam jitna tha farq pada kitna

mushkil hai mizaj itna ik baar badal jaana

huron ki sana-khvani vaaiz yuun hi kab maani

le aa ki hai nadani baton men bahal jaana

ishq un ki bala jaane ashiq hon to pahchane

lo mujh ko atibba ne saude ka khalal jaana

kya baten banata hai vo jaan jalata hai

paani men dikhata hai kafur ka jal jaana

matlab hai ki vaslat men hai bul-havas aafat men

is garmi-e-sohbat men ai dil na pighal jaana

dam lene ki taqat hai bimar-e-mohabbat hai

itna bhi ghanimat hai ‘momin’ ka sambhal jaana

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Meri Dastaras Mein Hai Gar Qalam Mujhe Husn-E-Fikr-O-KHayal De

Ishq Mein Har Bala Ko Aane Do

Pyas Ko Dariya Raha Aur KHak Ko Sahra Raha

poet

Kis Munh Se Kahen Gunah Kya Hain

Ujli Ujli Barf Ke Niche Patthar Nila Nila Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet