juda.i mujh ko maare Dalti hai
duha.i mujh ko maare Dalti hai
tumhare ishq men duniya hai dushman
ḳhuda.i mujh ko maare Dalti hai
hasinon ki gali hai aur main huun
gada.i mujh ko maare Dalti hai
tiri jallad ankhon ki sitamgar
safa.i mujh ko maare Dalti hai
asiri men maza tha fasl-e-gul ka
riha.i mujh ko maare Dalti hai
ḳhafa hain vo duaon ke asar par
rasa.i mujh ko maare Dalti hai
kiye deta hai qatil zab.h ‘muztar’
kala.i mujh ko maare Dalti hai
Leave a Reply