• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Farogh Farrukh-Zad Ke Liye Ek Nazm

Farogh Farrukh-Zad Ke Liye Ek Nazm

parveen-shakir

musahib-e-shah se kaho ki

faqih-e-azam bhi aaj tasdiq kar gae hain

ki fasl phir se gunahgaron ki pak gai hai

huzur ki jumbish-e-nazar ke

tamam jallad muntazir hain

ki kaun si had janab jaari karen

to tamil-e-bandagi ho

kahan pe sar aur kahan pe dastar utarna ahsan-ul-amal hai

kahan pe hathon kahan zabanon ko qata kijiye

kahan pe darvaza rizq ka band karna hoga

kahan pe asaishon ki bhukon ko maar diije

kahan bategi luaan ki chhut

aur kahan par

rajm ke ahkam jaari honge

kahan pe nau saala bachchiyan chahal saala mardon ke saath

sangin men pirone ka hukm hoga

kahan pe iqbali mulzimon ko

kisi tarah shak ka faeda ho

kahan pe masum daar par khinchna padega

huzur ahkam jo bhi jaari karenge

faqat iltija ye hogi

ki apne irshad-e-aliya ko

zabani rakhen

vagarna

qanuni uljhanen hain!

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

zaKHm Sahe Mazduri Ki

Hai Mere Gird Yaqinan Kahin Hisar Sa Kuchh

abrar-ahmad

Yaqin Hai Ki Guman Hai Mujhe Nahin Malum

Ilm Mein Jhengar Se baDh Kar Kaamran Koi Nahin

majrooh-sultanpuri

Aa Hi Jaegi Sahar Matla-E-Imkan To Khula

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet