• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Josh Par Thin Sifat-E-Abr-E-Bahaari Aankhen

Josh Par Thin Sifat-E-Abr-E-Bahaari Aankhen

taashshuq-lakhnavi

josh par thiin sifat-e-abr-e-bahari ankhen

ba gaiin ansuon ke saath hamari ankhen

hain jilau men sifat-e-abr-e-bahari ankhen

uthne deti hain kahan gard-e-savari ankhen

kyuun asiran-e-qafas ki taraf aana chhoda

pher liin tu ne bhi ai bad-e-bahari ankhen

samne aa gai gul-gasht men nargis shayad

palkon se chin-ba-jabin hain jo tumhari ankhen

kya durr-e-ashk se hain daman-e-mizhgan mamlu

kab zaban hai ki karen shukr-guzari ankhen

dekhte hain taraf-e-chah-e-zaqan ulfat se

muft men ham ko duboti hain hamari ankhen

shokhiyan ahuon ki zehn men kab aati hain

kuchh dinon ham ne bhi dekhi thiin tumhari ankhen

qatra-e-ab ko muhtaj kiya gardun ne

yad-e-ayyam ki thiin chashma-e-jari ankhen

duur se dekh ke tum ko koi ji bharta hai

kar rahi hain faqat ayyam-guzari ankhen

abr ko dekh ke har martaba josh aata hai

ab to aaiin hain mire zabt se aari ankhen

jab hata aaina aage se huiin kya bechain

apne par aap hi ashiq hain tumhari ankhen

lutf dekha na kisi chiiz ka ashkon ke siva

aaiin thiin rone ko duniya men hamari ankhen

kahti hai bhar ke dam-e-sard khizan men bulbul

dhundhti hain tujhe ai fasl-e-bahari ankhen

tum ko sharm aati hai ham qabil-e-nazzara nahin

na raha husn tumhara na hamari ankhen

kyuun charagah-e-ghazalan na kahun palkon ko

phir rahi hain meri nazron men tumhari ankhen

rouun kis vaste gar samne aana chhoda

aap ko husn hai pyara mujhe pyari ankhen

kor ho jaun magar ishq men rone ko na rok

naseha dil se ziyada nahin pyari ankhen

saikdon shisha-e-dil bada-kashon ke tode

mohtasib se hain ziyada vo khumari ankhen

phuul nargis ke gire shakh se daali jo nazar

teri ankhon ki itaat men hain saari ankhen

farsh ho jaati hain tum paanv jahan rakhte ho

adab-amoz-e-mohabbat hain hamari ankhen

baad muddat ke zara hosh men aaya huun aaj

phir dikha de mujhe saaqi vo khumari ankhen

ashk-e-khunin se asiri men utha lutf-e-bahar

hai qafas rashk-e-chaman abar-e-bahari ankhen

kya karen bazm-e-hasinan men ‘taashushuq’ ja kar

na rahin qabil-e-nazzara hamari ankhen

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tum Nain Ke Donon paT Mere Liye Wa Rakhna

Hue Hum Be-Sar-O-Saman Lekin

poet

Ghair Aae Pichhe Pa Gae Mujre Ka Bar Pahle

Barha Dil toDna Achchha Nahin

Humne Is Dhup Se Aman Ke Liye

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet