bin mange mil raha ho to ḳhvahish fuzul hai
suraj se raushni ki guzarish fuzul hai
kisi ne kaha tha TuuTi hui naav men chalo
dariya ke saath aap ki ranjish fuzul hai
nabud ke suragh ki surat nikaliye
maujud ki numud o numa.ish fuzul hai
main aap apni maut ki tayyariyon men huun
mere ḳhilaf aap ki sazish fuzul hai
ai asman teri inayat baja magar
faslen paki hui hon to barish fuzul hai
ji chahta hai kah duun zamin o zaman se main
manzil agar nahin hai to gardish fuzul hai
in.am-e-nang-o-nam mire kaam ke nahin
majzub huun so meri sata.ish fuzul hai
Leave a Reply