jo zaḳhm jam.a kiye ankh-bhar sunata huun
sunoge band zaban kya nazar sunata huun
jo sun sako to sukut-e-pas-e-nava bhi suno
yahi to main tumhen shaam o sahar sunata huun
nigah laao jo rang-e-sada kashid kare
ki main to ḳhamoshiyon ke hunar sunata huun
yahi kamal hai mere alag takallum ka
ḳhabar bhi hoti nahin jo ḳhabar sunata huun
agarche ek hi dariya ki naghma-ḳhvani hai
kinara saut tiri main bhanvar sunata huun
tumhare vaste shayad mira kalam na ho
jinhen ḳhabar nahin main kya ḳhabar sunata huun
Thahar gaya hai mire harf ka yahi me.aar
dhuan uḌata nahin main sharar sunata huun
Leave a Reply