• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Teri Afshan Sanwaren Zindagi Ai Zindagi

Jo Teri Afshan Sanwaren Zindagi Ai Zindagi

jo teri afshan sanvaren zindagi ai zindagi

roz-o-shab aise guzaren zindagi ai zindagi

baḌh gaya dariya ka paani kaf uḌata mauj mauj

uḌ ga.iin kunjon ki Daren zindagi ai zindagi

har taraf chhaya hua hai ik sukut-e-bekaran

phir bhi ham tujh ko pukaren zindagi ai zindagi

teri surat par guman-e-dasht-o-sahra haa.e haa.e

tere qadmon men baharen zindagi ai zindagi

sar uTha.en daar par yaden sar-e-maqtal sada

naqsh tere hi ubharen zindagi ai zindagi

jin ke honTon par sada rahte hain tere zamzame

un ke sinon men kaTaren zindagi ai zindagi

shahr hai aḳhir ye koi sard virana nahin

jiine vaale dam na maren zindagi ai zindagi

den jo tujh ko fursat yak do nafas ki tohmaten

un se bhi ham log haren zindagi ai zindagi

duur tak milta na ho nam-o-nishan tera jahan

ham vahan daman pasaren zindagi ai zindagi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Gal Ko Sharminda Kar Ai Shokh Gulistan Mein Aa

Girya-Zari Bhi Karun Shor Machaun Main Bhi

Bahaar Aane Ki Ummid Ke KHumar Mein Tha

baDh Rahi Hai Dil Ki dhaDkan Aandhiyon Dhire Chalo

meer-mehdi-majrooh

Kal Nashshe Mein Tha Wo But Masjid Mein Gar Aa Jata

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet