ik musafir ki tarah duur se aaya hua main
ab kahan jaun tire dar se uthaya hua main
ye alag baat ki dimak ne mujhe chaat liya
ik shajar tha tire hathon ka lagaya hua main
mera hona tiri duniya men na hone jaisa
lauh-e-hasti pe se ik harf mitaya hua main
Leave a Reply