ishq sho.ala na husn shabnam hai
sab tilism-e-sarisht-e-adam hai
ab ye mayusiyon ka aalam hai
fart-e-rahat bhi shiddat-e-gham hai
aaj is kor dil men zamane men
kaun teri ada ka mahram hai
kyuun kare vo masarraton ki talash
jis ki fitrat hi ḳhugar-e-gham hai
ik qayamat hai tera har andaz
har ada fitna-e-mujassam hai
aankh badli hui hai duniya ki
jab se teri nigah barham hai
mere hi dam se teri mahfil ka
jo bhi zarra hai jan-e-alam hai
apni taqdir ki shikayat kya
aap ka iltifat hi kam hai
apna sarmaya-e-hayat ‘aziz’
daman-e-tar hai chashm-e-pur-nam hai
Leave a Reply