roz us ko manana paḌta hai
ya.ani ḳhud ko girana paḌta hai
baat vo be-tuki si karti hai
aur mujhe muskurana paḌta hai
go ki ham saath hain magar apne
darmiyan ik zamana paḌta hai
meri jaan log chhoḌ jaate hain
meri jaan dil lagana paḌta hai
raat ro kar guzar lete hain
sub.h phir muskurana paḌta hai
Leave a Reply