is shahr men kahin pe hamara makan bhi ho
bazar hai to ham pe kabhi mehrban bhi ho
jagen to as-pas kinara dikha.i de
dariya ho pur-sukun khula badban bhi ho
ik dost aisa ho ki miri baat baat ko
sach manta ho aur zara bad-guman bhi ho
raste men ek peḌ ho tanha khaḌa hua
aur us ki ek shaḳh pe ik ashiyan bhi ho
us se mile zamana hua lekin aaj bhi
dil se dua nikalti hai ḳhush ho jahan bhi ho
ham us jagah chale hain jahan ye zamin nahin
achchha ho gar vahan pe naya asman bhi ho
Leave a Reply