Thahar Thahar ke mira intizar karta chal
ye saḳht-rah bhi ab iḳhtiyar karta chal
safar ki raat hai har gaam ehtiyat barat
palaT palaT ke andheron pe vaar karta chal
liye ja kaam tu apni firaḳh-dasti se
qadam qadam pe mujhe zer-e-bar karta chal
idhar udhar jo khaḌe ho ga.e hain tere liye
unhen bhi apne safar men shumar karta chal
kisi Thikane pe tujh ko agar pahunchna hai
to naqsh-e-pa ka mire e’tibar karta chal
na khinch dasht o jabal bahr o bar se qadmon ko
ye sab rukavaTen hain in ko paar karta chal
Leave a Reply