muddat ki tishnagi ka in.aam chahta huun
masti bhari nazar se ik jaam chahta huun
ai gardish-e-zamana zahmat to hogi tujh ko
kuchh der ke liye main aram chahta huun
kal ham se kah raha tha shohrat-talab zamana
tum kaam chahte ho main naam chahta huun
sub.h-e-hayat le le ai zulf-e-yar lekin
main tujh se is ke badle ik shaam chahta huun
bad-e-saba se kah do meri taraf bhi aa.e
main bhi ‘hafiz’ un ka paigham chahta huun
Leave a Reply