agarche a.ina-e-dil men hai qayam us ka
na koi shakl hai us ki na koi naam us ka
vahi ḳhuda kabhi milva.ega hamen us se
jo intizar karata hai sub.h o shaam us ka
hamare saath nahin ja saka tha vo lekin
raha ḳhayal siyahat men gaam gaam us ka
ḳhuda ko pyaar hai apne har ek bande se
safed-fam hai us ka siyah-fam us ka
kama ke dete hain jo maal vo amiron ko
hisab kyuun nahin lete kabhi avaam us ka
hamara farz hai be-lag raa.e ka iz.har
koi durust kahe ya ghalat ye kaam us ka
kahan hai shaiḳh ko sudh-budh mazid piine ki
nasha utaar ga.e tiin chaar jaam us ka
zaban-e-dil se koi sha.iri sunata hai
to sama.in bhulate nahin kalam us ka
‘shu.ur’ sab se alag baiThta hai mahfil men
isi se aap samajh lijiye maqam us ka
Leave a Reply