jo sunta huun kahunga main jo kahta huun sununga main
hamesha majlis-e-nutq-o-sama.at men rahunga main
nahin hai talḳh-goi sheva-e-sanjidgan lekin
mujhe vo galiyan denge to kya chup saadh lunga main
kam-az-kam ghar to apna hai agar viran bhi hoga
to dahliz o dar-o-divar se baten karunga main
yahi ehsas kaafi hai ki kya tha aur ab kya huun
mujhe bilkul nahin tashvish aage kya banunga main
miri ankhon ka sona chahe miTTi men bikhar jaa.e
andheri raat teri maang men afshan bharunga main
husul-e-agahi ke vaqt kaash itni ḳhabar hoti
ki ye vo aag hai jis aag men zinda jalunga main
koi ik aadh to hoga mujhe jo raas aa jaa.e
bisat-e-vaqt par hain jis qadar mohre chalunga main
agar is martaba bhi aarzu puuri nahin hogi
to is ke ba.ad aḳhir kis bharose par jiyunga main
yahi hoga kisi din Duub ja.unga samundar men
tamannaon ki ḳhali sipiyan kab tak chununga main
Leave a Reply