• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Puchha Munh Dikhane Aap Kab Chilman Se Niklenge

Jo Puchha Munh Dikhane Aap Kab Chilman Se Niklenge

jo puchha munh dikhane aap kab chilman se niklenge

to bole aap jis din hashr men madfan se niklenge

jalega dil tumhen bazm-e-adu men dekh kar mera

dhuan ban ban ke arman mahfil-e-dushman se niklenge

ikaTThe kar ke teri dusri tasvir khinchunga

vo sab jalve jo chhan chhan kar tiri chilman se niklenge

siyah poshak dosh-e-naz par bikhri hui zulfen

mire matam ki shirkat ko baḌe joban se niklenge

hamen parva nahin is ki qayamat laakh baar aa.e

na tum madfan pe aaoge na ham madfan se niklenge

tire daman se badla lenge zalim ḳhun-e-nahaq ka

vo favvare lahu ke jo miri gardan se niklenge

yahi rishta junun-e-ashiqi ka hai to kuchh din men

mire tar-e-gareban yaar ke daman se niklenge

hazaron husn vaale is zamin men dafn hain ‘muztar’

qayamat hogi jab ye sab ke sab madfan se niklenge

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

meer-taqi-meer

Agar Rah Mein Uski Rakha Hai Gam

Dil-E-Pur-Shauq Ko Pahlu Mein Dabae Rakkha

chandni-pandey

Jale Charagh Bujhane Ki Zid Nahin Karte

Aap Nahaq Malal Karte Hain

Na Dhalti Sham Na ThanDi Sahar Mein Rakkha Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet