ham-zad hai gham apna shadan kise kahte hain
vaqif nahin ishrat ka saman kise kahte hain
bimar-e-mohabbat hain ham tarik-e-rahat hain
na-vaqif-e-sehat hain darman kise kahte hain
muddat se ye saman hai tan shoala-e-uryan hai
kya chiiz gareban hai daman kise kahte hain
mathe pe pasina hai qudrat ka tamasha hai
taron ki jhamak kya hai afshan kise kahte hain
dil de ke jafa sahiye aafat men phanse rahiye
daana jo hamen kahiye nadan kise kahte hain
jab yaar ne dekha hai ik zakhm lagaya hai
sau tiron ka dasta hai mizhgan kise kahte hain
us turk ki palkon se mahfuz khuda rakkhe
bar katte hain tiron ki paikan kise kahte hain
dil ki jo zaraat hai khar-o-khas-e-zahmat se
ik qatre ki hasrat hai baran kise kahte hain
sach kahte hain ye zirak hai ishq-e-junun be-shak
vaqif na the ham gul tak zindan kise kahte hain
har-vaqt hai be-zari har dam hai jafakari
dil-jui-o-dildari-e-janan kise kahte hain
rukhsar ka shaida huun kya gul ko samajhta huun
mahv-e-khat-e-zeba huun raihan kise kahte hain
muddat se hai dil barham sohbat se nahin mahram
azad hain ghar se ham mehman kise kahte hain
jaate hain kabhi dargah shivale men bhi hai raah
mazhab se nahin agah iman kise kahte hain
haidar se tavalla hai rahmat ka bharosa hai
ai ‘bahr’ khata kya hai isyan kise kahte hain
Leave a Reply