• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Pilae Wo Rahe Yarab Mai-O-Saghar Se Khush

Jo Pilae Wo Rahe Yarab Mai-O-Saghar Se Khush

riyaz-khairabadi

jo pilae vo rahe yarab mai-o-saghar se khush

khush rahe pir-e-mughan jaate hain us ke dar se khush

sang-e-khun-aluda ko samjhe hain ye gulshan ka phuul

tod kar sar tere divane hain kya patthar se khush

us gali ke rahne vaale bhi maze ke log hain

fitna-e-mahshar se khush hangama-e-mahshar se khush

yuun gale se kyuun lagata sakht-janon ko koi

ham gale mil kar hue kya kya tire khanjar se khush

khum ke khum bhar bhar ke jaaen kam na ho mai bund-bar

zahid-o-ham hain tumhare chashma-e-kausar se khush

khuun paani ek mera ho gaya un ke liye

apne zakhm-e-dil se khush hon apne chashm-e-tar se khush

dil men ghar karti hai vo kafir mizha kafir nigah

main tire paikan se khush huun main tire nashtar se khush

khana bagh-e-ghair men the ya khule maidan men

vo kahin se aae hon aae hain kuchh bahar se khush

mai-kade men aa ke piite hain pilate hain ‘riyaz’

kah rahi hai vaza un ki hain ye apne ghar se khush

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hushyar Hain to Hum Ko Bahak Jaana Chahiye

Sufi

Ba-Ghair Az Ishq-e-Jaanan Nist Karam

akhtar-hoshiyarpuri

Ek Hum Hi To Nahin Aabla-Pa Aawara

Aankh Ho Aur Koi KHwab Na Ho

Chahiye Duniya Na Uqba Chahiye

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet