hain manazir sab baham-parda nazar baaqi nahin
samne manzil hai lekin rahguzar baaqi nahin
shairi jis ne chhudae the jahan ke karobar
ab takalluf bartaraf is men hunar baaqi nahin
shahr-e-nau men kyuun rahe ab ye shikasta sa makan
gar khadi divar koi hai to dar baaqi nahin
vo to jaadu ka bana tha haae aisa hi na ho
laut kar pahunchun to dekhun ab vo ghar baaqi nahin
mutmain the khush the aur duniya men bhi masruf the
ham to samjhe the ki ab fan ka safar baaqi nahin
ab ye lazim hai ki is duniya men jiina siikh luun
khuub par qaane rahun jab khub-tar baaqi nahin
aap sone ka qafas laane ki zahmat mat karen
ham vo taair hain ki jin ke bal-o-par baaqi nahin
Leave a Reply