jo miri aarzu nahin karta
us ki main justuju nahin karta
hijr-e-janan men apne ashkon se
kaun hai jo vuzu nahin karta
vo to tera kalim tha varna
sab se tu guftugu nahin karta
sayyad-ul-ambiya the vo varna
sab ko tu ru-ba-ru nahin karta
teri nisbat mili mujhe jab se
main koi aarzu nahin karta
har ghadi jis ki baat karta huun
mujh se vo guftugu nahin karta
dar-ba-dar yuun nahin bhatakta main
jo faramosh tu nahin karta
ho nahin paati shairi ‘afzal’
nazr jab tak lahu nahin karta
Leave a Reply