nahin asan tark-e-ishq karna dil se gham jaana
bahut dushvar hai chaḌhte hue tufan ka tham jaana
ḳhabar kya thi sitam ki parda-dari yuun bhi hoti hai
bahut nadim huun jab se maqsad-e-josh-e-karam jaana
lihaz-e-vaz.a-dari men kabhi mumkin na ho shayad
tumhara do qadam aana hamara do qadam jaana
hamen andaz-e-rindana kabhi girne nahin dete
jo saghar samne aaya usi ko jam-e-jam jaana
mira har sher ‘aḳhtar’ ik payam-e-zindagi nikla
mujhe duniya ne aḳhir malik-e-lauh-e-qalam jaana
Leave a Reply