jo kuchh tha muqaddar men gavara to nahin tha
dar-parda kahin un ka ishara to nahin tha
jitni thi khaTak saans ki kul naghma-e-jan thi
kya tum ne mujhe hans ke pukara to nahin tha
ta-zist mujhe jan-e-hazin baḳhshne vaale
is men koi andaz tumhara to nahin tha
ro ro ke qayamat ka liya naam kisi ne
koi tiri ummid ka maara to nahin tha
TuuTe hue kyon dil ko mire dekh rahe ho
aansu tha miri sub.h ka taara to nahin tha
muddat se baḌa naam hai firdaus ka ‘kaifi’
gesu ko kahin us ne sanvara to nahin tha
Leave a Reply