Jo Kuchh Bhi Aap Kahte Hain Wo Thik Hi to Hai

jo kuchh bhī aap kahte haiñ vo Thiik hī to hai

taskīn-e-ārzū kī talab bhiik hī to hai

jab chhīn lī ga.ī mirī āñkhoñ se raushnī

duniyā mirī nigāh meñ tārīk hī to hai

fasl-e-ḳhizāñ burī sahī itnī burī nahīñ

ye āmad-e-bahār kī tahrīk hī to hai

ghabrā rahā hai dil to ta.ajjub kī baat kyā

manzil shu.ūr-e-dard kī nazdīk hī to hai

ishq-o-havas meñ farq na karnā kabhī kabhī

jazbāt-e-dil kī dostoñ taz.hīk hī to hai

apnā samajh ke maiñ ne sunāyā thā hāl-e-dil

tum ne bhī saath chhoḌ diyā Thiik hī to hai

is rabt-e-nā-tamām se kuchh fā.eda na thā

‘nayyar’ kahānī ḳhatm huī Thiik hī to hai

Leave a Comment