koi milta nahin ye bojh uthane ke liye
shaam bechain hai suraj ko girane ke liye
apne ham-zad darakhton men khada sochta huun
main to aaya tha inhen aag lagane ke liye
main ne to jism ki divar hi dhaai hai faqat
qabr tak khodte hain log khazane ke liye
do palak biich kabhi raah na paai varna
main ne koshish to bahut ki nazar aane ke liye
lafz to lafz yahan dhuup nikal aati hai
teri avaz ki barish men nahane ke liye
kis tarah tark-e-taalluq ka main sochun ‘tabish’
haath ko katna padta hai chhudane ke liye
Leave a Reply