jo ḳhud ko paa.en to phir dusra talash karen
is ik hayat men ab aur kya talash karen
sitara-go hai ye shab is ko ghaur se sun len
aur is ka din jo kahin kho gaya talash karen
ham apni baat ko divar hi men chunva den
nazar shabih sama.at sada talash karen
hai bab-e-jan pe ruka aks-e-mehman aa kar
sar-e-vajud koi aa.ina talash karen
hava men zahr hai sahra ka ya samundar ka
ye ilm ho to koi badraqa talash karen
Leave a Reply