jo gham men jalte rahe umr-bhar diya ban kar
bujha ga.i hai unhen maut ab hava ban kar
vo ḳhamushi jo tiri bazm ne hamen baḳhshi
ḳhala-e-zehn men gunji hai ik sada ban kar
jo tu ne mujh ko gham-e-la-zaval baḳhsha tha
vo zindagi men raha mera rahnuma ban kar
vo jin ke lams se tu khil ke phuul banta tha
vo ab bhaTakte hain dar par tire saba ban kar
jab un ki bazm se lauTe to ḳhud ko pahchana
vahan se aa.e ham ‘azad’ kya se kya ban kar
Leave a Reply