jo diya tu ne hamen vo surat-e-zar rakh liya
tu ne patthar de diya to ham ne patthar rakh liya
siskiyon ne chaar sau dekha koi dharas na thi
ek tanhai thi us ki god men sar rakh liya
ghut gaya tahzib ke gumbad men har khvahish ka dam
jangalon ka mor ham ne ghar ke andar rakh liya
mere balon pe saja di garm sahraon ki dhuul
apni ankhon ke liye us ne samundar rakh liya
darz tak se ab na phutegi tamanna ki phuvar
chashma-e-khvahish pe ham ne dil ka patthar rakh liya
vo jo ud kar ja chuka hai duur mere haath se
us ki ik bichhdi nishani taaq men par rakh liya
diid ki jholi kahin khali na rah jaae ‘adim’
ham ne ankhon men tire jaane ka manzar rakh liya
phenk den galiyan birun-e-sahn sab is ne ‘adim’
ghar ki jo manga tha main ne vo pas-e-dar rakh liya
Leave a Reply