
Shaukat Pardesi
har bure vaqt men kaam aaya tha
agle vaqton ka vo ham-saya tha
aa.ine men tha vo kis ka chehra
main jise dekh ke sharmaya tha
gir gaya aaj vo buḌha bargad
mere angan ka jo sarmaya tha
ahl-e-zar se bhi ḳharida na gaya
maya-e-naz vo be-maya tha

Leave a Reply