jo chehre ki banavaT se yuun zulfon ko haTati ho
udhar ka puchho mat ham se idhar bijli girati ho
hamin ko jaan kahti ho hamin pe aap marti ho
amaan chhoḌo ye zid apni hamen kitna satati ho
abhi chhoḌa kahan tujh ko abhi kya baat bigḌi hai
kinare par khaḌe hain ham ki tum aansu bahati ho
hamen to naaz tha tum par tumhen bhi naaz hona tha
jalana tha zamane ko ki tum ham ko jalati ho
ye mausam hai bazaron ka ki raunaq khinch laati hai
hamari jeb ḳhali kar divali tum manati ho
to kal kuchh kah rahin thi ‘muntazir’ tum Thiik dikhte ho
main puchhun bhi bhala to kya bahut baten banati ho
Leave a Reply