jo chahti duniya hai vo mujh se nahin hoga
samjhauta koi khvab ke badle nahin hoga
ab raat ki divar ko dhana hai zaruri
ye kaam magar mujh se akele nahin hoga
khush-fahmi abhi tak thi yahi kar-e-junun men
jo main nahin kar paaya kisi se nahin hoga
tadbir nai soch koi ai dil-e-sada
mail-ba-karam tujh pe vo aise nahin hoga
be-nam se ik khauf se dil kyuun hai pareshan
jab tai hai ki kuchh vaqt se pahle nahin hoga
Leave a Reply