kab kis ko mayassar hai ye rutba ye amārī
phūloñ kī kaTorī meñ hai shabnam kī savārī
āñkhoñ meñ jalā.e ga.e phir ḳhvāb tumhāre
siine se kharochī ga.ī phir yaad tumhārī
ai lāDlī bachchī merī baabā tere sadqe
sau rañg mire ghar meñ tū le kar hai padhārī
sab ilm-o-adab le gayā ‘sājid’ kā gharānā
baiThe rahe kaasa liye masnad pe bhikārī