jo bhed asl tha vo to kabhi khula hi nahin
main jis ka aks huun vo mera aa.ina hi nahin
udaas baiTha hai a.ina bechne vaala
ki is mahal men koi ḳhud ko janta hi nahin
ham apni dastaken mahfuz rakh ke kya karte
kisi makan men darvaza koi tha hi nahin
bhaTakti phirti hain yadon ki kashtiyan kya kya
ajab hai dil ka samundar ki rasta hi nahin
na koi Dor na bandhan na rasta na ghubar
yahi ki us ke mire biich fasla hi nahin
Leave a Reply