ik pal jiita hai to ‘tahir’ ik pal marta rahta hai
mera dil siine ke andar matam karta rahta hai
us ki zid aur dil ki ḳhvahish ke mabain na jaane kyon
reza-reza sochon ka divan bikharta rahta hai
ba.az auqat main yuun bhi us ko rone par uksata huun
ro kar us ka sundar chehra aur sanvarta rahta hai
jaan tu mujh ko pahle se bhi ziyada ab yaad aaya kar
tere yaad aane se mera dard sanvarta rahta hai
jab tak teri bhigi palken ashk luTati rahti hain
mere sar se andeshon ka sail guzarta rahta hai
Leave a Reply