miri zindagi ki likhi hui
mire taq-e-dil pe saji hui
vo kitab ab bhi hai muntazir
jise main kabhi nahin padh saki
vo tamam baab sabhi varaq
hain abhi talak bhi jude hue
mira ahd-e-did bhi aaj tak
unhen vo judai na de saka
jo har ik kitab ki ruuh hai
mujhe khauf hai ki kitab men
mire roz-o-shab ki aziyyaten
vo nadamaten vo malamaten
kisi hashiye pe raqam na hon
main fareb-khurda-e-bartari
main asir-e-halqa-e-buz-dili
vo kitab kaise padhungi main?
Leave a Reply