jo bhala hai use bura mat kar
khud se bhi barha mila mat kar
ye hai basti udaas logon ki
qahqaha maar kar hinsa mat kar
baagh hai dil fareb donon se
phuul ko khaar se juda mat kar
rose ki laan-taan thiik nahin
ghar men aine ko rakha mat kar
chehra mohara badalta rahta hai
itni jaldi bhi faisla mat kar
Leave a Reply