• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Baat Dil Mein Thi Wo Kab Zaban Par Aai

Jo Baat Dil Mein Thi Wo Kab Zaban Par Aai

jo baat dil men thi vo kab zaban par aa.i

suna raha hai fasane fareb-e-goya.i

na.e charagh sar-e-rahguzar jala aa.i

hava-e-nik.hat-e-gul thi ki meri bina.i

tu garm raat men ThanDi hava ka jhonka tha

zara qarib se guzra to niind si aa.i

jo baat tujh men hai vo dusron men kya milti

jo baat mujh men hai tu ne bhi vo kahan paa.i

vo yaad aa.e to dil aur ho gaya viran

vo mil ga.e to baḌha aur dard-e-tanha.i

bahut dinon se mira dil udaas bhi to nahin

bahut dinon se tiri yaad bhi nahin aa.i

‘salim’ qurb se bhi tishnagi nahin jaati

ye baat sahil-o-dariya ne mujh ko samjha.i

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Chand Bhi Sitaron Ko Sath Le Ke Chalta Hai

Wo Hua Hi Nahin Jo Socha Tha

Jab Na Aane Ki Qasam Aapne Kha Rakkhi Thi

Arbab-E-Gulistan Ka Chalan Dekh Raha Hun

poet

Qais Wo Natawan-E-Sahra Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet