ghamon men hans ke bitana hai kya kiya jaa.e
yahi to sab ka fasana hai kya kiya jaa.e
uge hain jin ki hatheli men saikḌon kanTe
unhin se haath milana hai kya kiya jaa.e
vo jin ka naam bhi lene se honT jalte hain
unhen adab se bulana hai kya kiya jaa.e
hamari pyaas ko kuchh buund aur samundar tak
sulagti ret se jaana hai kya kiya jaa.e
jahan hava ki mukammal ijara-dari hai
vahin charagh jalana hai kya kiya jaa.e
nahin kisi ka muḳhalif main aaj bhi lekin
mire ḳhilaf zamana hai kya kiya jaa.e
hazaron tanziya tiron ka aj-kal ‘tashna’
hamara dil hi nishana hai kya kiya jaa.e
Leave a Reply