jo ab bhi na taklif farmaiyega
to bas haath malte hi rah jaiyega
nigahon se chhup kar kahan jaiyega
jahan jaiyega hamen paiyega
mira jab bura haal sun paiyega
khiraman khiraman chale aiyega
mita kar hamen aap pachhtaiyega
kami koi mahsus farmaiyega
nahin khel naseh junun ki haqiqat
samajh lijiyega to samjhaiyega
hamen bhi ye ab dekhna hai ki ham par
kahan tak tavajjoh na farmaiyega
sitam ishq men aap asan na samjhen
tadap jaiyega jo tadpaiyega
ye dil hai ise dil hi bas rahne diije
karam kijiyega to pachhtaiyega
kahin chup rahi hai zaban-e-mohabbat
na farmaiyega to farmaiyega
bhulana hamara mubarak mubarak
magar shart ye hai na yaad aiyega
hamen bhi na ab chain aaega jab tak
in ankhon men aansu na bhar laiyega
tira jazba-e-shauq hai be-haqiqat
zara phir to irshad farmaiyega
hamin jab na honge to kya rang-e-mahfil
kise dekh kar aap sharmaiyega
ye maana ki de kar hamen ranj-e-furqat
mudava-e-furqat na farmaiyega
mohabbat mohabbat hi rahti hai lekin
kahan tak tabiat ko behlaiyega
na hoga hamara hi aghosh khali
kuchh apna bhi pahlu tahi paiyega
junun ki ‘jigar’ koi had bhi hai akhir
kahan tak kisi par sitam dhaiyega
Leave a Reply