aa.ina huun ki main patthar huun ye kab puchhe hai
ziist mujh se mere jiine ka sabab puchhe hai
munkashif hone lage jab se rumuz-o-asrar
kuchh saval ab dil-e-ma.asum ajab puchhe hai
maqsad-e-zist, koi ḳhvab ya ḳhvahish koii?
ham ne jab si liye lab apne vo tab puchhe hai
har koi apni tag-o-dau men hai masruf yahan
kaun ab kis ki udasi ka sabab puchhe hai
vahshat-e-dil men kami ho bhi to kyaa, hal-e-darun
aur baḌh jaati hai kuchh, ham se vo jab puchhe hai
jis ne barbad kiya ḳhana-e-dil rah rah kar
kya qayamat hai, vahi is ka sabab puchhe hai
koi bhi rishta nikalta nahin ham donon men
phir bhi kyuun ham se hamara vo nasab puchhe hai
saath guzre the kabhi arsa huaa, mujh se magar
aaj bhi tera pata rah-e-talab puchhe hai
ik nida jis ko samajhte hain zamir apna sabhi
qabl-e-laghzish hamen is shakl men rab puchhe hai
ab ye aalam hai ki ḳhud vahshat-e-dil bhi ‘ḳhalid’
ghar mire der se aane ka sabab puchhe hai
Leave a Reply