jo ansuon ko na chamka.e vo ḳhushi kya hai
na aa.e maut pe ghalib to zindagi kya hai
hamen ḳhabar hai na apni na ahl-e-duniya ki
koi bata.e ye andaz-e-be-ḳhudi kya hai
main saath deta huun yaron ka hadd-e-manzil tak
main janta nahin dastur-e-rah-ravi kya hai
tire ḳhayal men din-rat mast rahta huun
ye bandagi jo nahin hai to bandagi kya hai
tire karam se mayassar hai daulat-e-kaunain
tira karam hai jabhi tak mujhe kami kya hai
na.e purane nasheman sabhi jala kar ab
nigah-e-barq khaḌi duur takti kya hai
kisi ki chashm-e-karam aap par nahin to kyuun
ye ḳhud se pochhiye kirdar men kami kya hai
na aa.i jagti ankhon ke da.ere men kabhi
ye bad-nasib ka ik ḳhvab hai ḳhushi kya hai
jo baat kahta huun karte hain us pe harf-zani
ye dosti hai to andaz-e-dushmani kya hai
qadam qadam pe kiye ‘charḳh’ zindagi ne mazaq
samajh men aa na saka qasd-e-zindagi kya hai
Leave a Reply