Ab Apne Dida-O-Dil Ka Bhi Etibar Nahin

ab apne dīda-o-dil kā bhī e’tibār nahīñ

usī ko pyaar kiyā jis ke dil meñ pyaar nahīñ

nahīñ ki mujh ko tabī.at pe iḳhtiyār nahīñ

har ik jaam se pī luuñ vo bāda-ḳhvār nahīñ

har ek gaam pe kāñToñ kī haiñ kamīñ-gāheñ

shabāb aah shagūfoñ kī rahguzār nahīñ

bharī huī hai vo kām-o-dahan meñ talḳhī-e-zīst

ki lab pe jām-e-mohabbat bhī ḳhush-gavār nahīñ

na mere ashkoñ se dāman pe tere aa.egī aañch

ye sho.ala-rū haiñ magar fitrat-e-sharār nahīñ

kahīñ chhupā.e se chhuptī bhī hai haqīqat-e-ġham

vo ġham hī kyā jo masarrat se āshkār nahīñ

maiñ terī yaad se bahkā chukā huuñ yuuñ dil ko

ki ab mujhe tirī furqat bhī nāgavār nahīñ

mire sukūñ ke liye kyuuñ ye koshish-e-paiham

qarār chhīnñe vaale tujhe qarār nahīñ

jahān-e-aql ke nafrat-kadoñ meñ baT jaatā

hazār shukr mohabbat pe iḳhtiyār nahīñ

kisī kī luuT ke rāhat ḳhushī nahīñ miltī

ḳhizāñ ke haath meñ sarmāya-e-bahār nahīñ

nigāh-e-dost ko is kī bhī hai ḳhabar lekin

vo raaz jis kā abhī dil bhī rāzdār nahīñ

tavajja-e-nigah-e-yār kā sabab ma.alūm

dil-e-girafta-e-‘mullā’ abhī shikār nahīñ

Leave a Comment