jivan ko dukh dukh ko aag aur aag ko paani kahte
bachche lekin soe hue the kis se kahani kahte
sach kahne ka hausla tum ne chhin liya hai varna
shahr men phaili virani ko sab virani kahte
vaqt guzarta jaata aur ye zakhm hare rahte to
badi hifazat se rakkhi hai teri nishani kahte
vo to shayad donon ka dukh ik jaisa tha varna
ham bhi patthar marte tujh ko aur divani kahte
tabdili sachchai hai is ko mante lekin kaise
aine ko dekh ke ik tasvir purani kahte
tera lahja apnaya ab dil men hasrat si hai
apni koi baat kabhi to apni zabani kahte
chup rah kar iz.har kiya hai kah sakte to ‘anas’
ek alahida tarz-e-sukhan ka tujh ko baani kahte
Leave a Reply