
Farooq Anjum
jab bhi mila vo TuuT ke ham se mila to hai
zahir hai is ḳhulus men kuchh mudda.a to hai
us ko naya mizaj naya zehn chahiye
bachcha zaban chalata nahin sochta to hai
kya munsifi hai aap ki ḳhud dekh lijiye
insaf-e-shahr shahr-e-tamasha bana to hai
dhabbe lahu ke ham ko bata denge rasta
shayad kisi ke paanv men kanTa chubha to hai
manzil ki justuju men akele nahin hain ham
hamrah to nahin hai tira naqsh-e-pa to hai
go amn ho gaya hai vahan qatl-o-ḳhun ke ba.ad
darvaza sazishon ka abhi tak khula to hai
tahzib ke libade men sab be-libas hain
‘anjum’ tire badan pe darida qaba to hai

Leave a Reply