jitne moti gire aankh se jitna tera ḳhasara hua
dast-basta tujhe kah rahe hain vo saara hamara hua
aa gira zinda shamshan men lakḌiyon ka dhuan dekh kar
ik musafir parinda ka.i sard raton ka maara hua
ham ne dekha use bahte sapne ke arshe pe kuchh der tak
phir achanak chahakte samundar ka ḳhali kinara hua
ja raha hai yunhi bas yunhi manzilen pusht par bandh kar
ik safar-zad apne hi naqsh-e-qadam par utara hua
zindagi ik jua-ḳhana hai jis ki fōtpath par apna dil
ik purana juari musalsal ka.i din ka haara hua
tum jise chand ka chand kahte ho ‘mansur-afaq’ vo
ek lamha hai kitne musibat-zadon ka pukara hua
Leave a Reply