jitna tha jiina ji liye mar jaana chahiye
had ho ga.i to had se guzar jaana chahiye
Thahre hue hain kab se ye mehman ki tarah
ankhon se ansuon ko bikhar jaana chahiye
ye kya ki roz qisse men tum sher hi bano
yaaro kabhi kabhar to Dar jaana chahiye
us ki gali men jaur-o-jafa aam hai bahut
us ki gali men yaar magar jaana chahiye
ab ke to ma.arka hai bahut saḳht ziist ka
ab ke to ma.arke men ye sar jaana chahiye
chal to rahe hain log yahan qafile ke saath
lekin pata nahin hai kidhar jaana chahiye
yuun to musha.eron se ye ji bhar gaya magar
kahna ‘obaid’ ka hai ‘qamar’ jaana chahiye
Leave a Reply