jite-ji ke ashna hain phir kisi ka kaun hai
naam ke apne hua karte hain apna kaun hai
jan-e-jan tere siva rashk-e-masiha kaun hai
maar kar thokar jila de mujh ko aisa kaun hai
ye siyah khema hai kis ka is men laila kaun hai
chamber-e-aflak ke parde men baitha kaun hai
ham na kahte the ki sauda zulf ka achchha nahin
dekhiye to ab sar-e-bazar rusva kaun hai
vo to hai be-nur aur ye nuur se maamur hai
chashm ko nargis kahega aisa andha kaun hai
dam-ba-dam har baat men karte ho thandi garmiyan
aap ki ukhdi hui baton pe jamta kaun hai
vadi-e-vahshat men bhi ham-rah hain ah-o-fughan
apne hamdam saath hain ai jaan tanha kaun hai
khair hai ai mehrban kis ne unhen sidha kya
aap kyuun bal karte hain zulfon se uljha kaun hai
dukhtar-e-raz sach bata teri nazar kis par padi
tattiyon ki aad men se kis ko taaka kaun hai
aaj maqtal men khade kahte hain vo khanjar-ba-kaf
bol uthe chahne vaala hamara kaun hai
chaar din jo kuchh tamasha dekhna hai dekh le
sair ko phir gulshan-e-duniya men aata kaun hai
bandh kar tegh o kafan jaate hain us qatil ke paas
ham bhi dekhen rokne vaala hamara kaun hai
kya tajahul hai ki vo farmate hain aghyar se
main nahin pahchanta mutlaq ki ‘agha’ kaun hai
Leave a Reply