jism TuuTā hai jaan TuuTī hai
umr bhar kī thakān TuuTī hai
vo jo phailā thā kal dhuāñ ban kar
aaj us kī uThān TuuTī hai
aisā lagtā hai shahr TuuT gayā
sab se ūñchī dukān TuuTī hai
koī dhokā thā khā liyā us ne
us ke hāthoñ zabān TuuTī hai
vo ba-zāhir hai mutma.in lekin
us ke andar kī aan TuuTī hai
raqs taarī hai saare jañgal par
koī taaza machān TuuTī hai