jism divar hai divar men dar karna hai
ruuh ik ghaar hai is ghaar men ghar karna hai
ek hi qatra to hai ashk-e-nadamat ka bahut
kaun se dasht-o-bayaban ko tar karna hai
jalte rahna bhi hai divar pe fanus ke bin
be-zerah ma.arka-e-bad bhi sar karna hai
ḳhaak ho jaane pe ai ḳhak-basar kyuun ho ba-zid
kya tumhen dosh-e-hava par bhi safar karna hai
ab in ankhon men vo dariya kahan vo chashme kahan
chand qatre hain jinhen lal-o-gohar karna hai
fat.h-e-gulzar mubarak ho magar yaad rahe
abhi na-dida bayaban bhi sar karna hai
kuchh to hai rang sa ehsas ke parde men nihan
jis ko manzar ki tarah vaqf-e-nazar karna hai
gul-e-nau-ḳhez ko tesha bhi bana de ya-rab
sang-e-lab-basta ke siine men asar karna hai
ek neze pe lagane hain ka.i meva-e-sar
ek Tahni ko samar-dar shajar karna hai
Leave a Reply