• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wo shaKHs Jo zaKHmon Ki Rida De Ke Gaya Hai

Wo shaKHs Jo zaKHmon Ki Rida De Ke Gaya Hai

vo shaḳhs jo zaḳhmon ki rida de ke gaya hai

is shahr men jiine ki saza de ke gaya hai

sadiyon se main sannaTon ki basti men khaḌa huun

ye kaun mujhe sang-e-sada de ke gaya hai

aaya tha koi le ke ujalon ka sahifa

be-nur charaghon ko ziya de ke gaya hai

raste men shajar hai na kahin yaad ka saaya

vo jaane mujhe kaisi dua de ke gaya hai

ḳhvabon ke darichon se guhar luTne vaala

kuchh meri talab se bhi siva de ke gaya hai

socha tha bujha dega mire soz-e-darun ko

dekha to vo sho.alon ko hava de ke gaya hai

vo phuul sa chehra ki jo kal saath tha mere

ik dard mire dil ko naya de ke gaya hai

kis soch men Duube ho pareshan ho ‘ḳhalid’

vo shaḳhs to jiine ki dua de ke gaya hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHayal-O-Fikr Jahan Zawiye Badalte Hain

zehra-nigaah

Suna Hai

Har Ek Phul Ke Daman Mein Khaar Kaisa Hai

poet

Nasha Nasha Sa Hawaen Rachae Phirti Hain

poet

Aashiq Hi Faqat Nahin Hai Janjalon Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet